apnī aur kisī se kis din rāh-o-rasm-o-rifāqat thī
aatī jaatī saañs thī jis kī saa.at sañgat thī
tujh ko ḳhayāl na aayā varna kis din itne garāñ the ham
ik do harf-e-muravvat socho kaun sī aisī qīmat thī
maiñ bhī apnī dhun meñ ravāñ thā vo bhī apne-āp meñ gum
baat kī naubat kaise aatī kis ko itnī fursat thī
biit chuke vo din vo zamāne rāhat bharī aziyyat ke
yaad kise ab kaun batā.e duurī thī ki vo qurbat thī
kūcha kūcha phaileñ bāteñ qat.a-e-ta.alluq-ḳhātir kī
auroñ kā to zikr hī kyā dīvār-o-dar ko hairat thī
kitne haiñ jo ab tak pahuñche apnī zaat kī manzil tak
harf-o-bayāñ se baat hai bāhar aisī kaḌī masāfat thī
gosha-gīr faqīr the ham to maslak ijz-o-niyāz 'bashīr'
kyuuñ be-sūd kisī se ulajhte apnī kis se adāvat thī