duur tak chāroñ taraf mere sivā koī na thā
phir palak jhapkī to kyā dekhā ki ḳhud maiñ bhī na thā
ik taḌap bijlī kī aur dīvār-o-dar miTTī ke Dher
ik taḌap sho.ale kī aur dariyāoñ meñ paanī na thā
dā.ere bantī sadā.eñ chhū ke jab hadd-e-ufuq
apne markaz kī taraf lauTīñ to kuchh baaqī na thā
qaid-e-zindān-e-jasad meñ thā ye kab kashf-e-vajūd
aur bhī kuchh thā maiñ sirf ik paikar-e-ḳhākī na thā
kyā ḳhabar tum ne kahāñ kis ruup meñ dekhā mujhe
maiñ kahīñ motī kahīñ patthar kahīñ ā.īna thā
deñ hisāb-e-roz-o-shab kyā us ko jis ke dard se
koī saa.at koī lamha koī pal ḳhālī na thā
aarzū la.al-o-gohar kī kis liye kartā 'bashīr'
harf-o-ma.anī kā ḳhazīna kyā use kaafī na thā