Basheer Ahmad Basheer

in chaTaKHte pattharon par panw dharna dhyan se

Basheer Ahmad Basheer

in chaTaḳhte pattharoñ par paañv dharnā dhyān se
Dhal chukī hai shaam vaadī meñ utarnā dhyān se
jāmid-o-sākit sahī dīvār-o-dar bahre nahīñ
ghar kī tanhā.ī ho phir bhī baat karnā dhyān se
kaan mat dharnā kisī āvāz par kaisī bhī ho
koī roke bhī to raste meñ Thaharnā dhyān se
dekhnā saaya kahīñ koī ta.āqub meñ na ho
shahr kī vīrān galiyoñ se guzarnā dhyān se
raah meñ dekho koī manzar to rakhnā zehn meñ
phir kahīñ fursat mile to rañg bharnā dhyān se
kitne sūraj tum se pahle is safar meñ jal-bujhe
is jahān-e-tīra-ḳhātir par ubharnā dhyān se
vaqt ke saath apne andāze ġhalat nikle 'bashīr'
kis qadar mushkil hai pyāroñ kā utarnā dhyān se
Top Urdushayar.com