Basheer Ahmad Basheer

giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun

Basheer Ahmad Basheer

giraft-e-zīst meñ huuñ qaid-e-be-hisār meñ huuñ
azāb-e-arsa-gah-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ huuñ
ḳhayāl hai to abhī DhūñDh phir milūñ na milūñ
abhī maiñ tere uḌaa.e hue ġhubār meñ huuñ
bhaḌak rahā hai badan ruuh ko ḳhabar bhī nahīñ
ye kyā maqām hai ye kaise sho.ala-zār meñ huuñ
maiñ kaun huuñ tire nazdīk ye savāl nahīñ
hubāb huuñ ki sadaf bahar-e-be-kanār meñ huuñ
ḳhud apne aap se har dam huuñ barsar-e-paikār
maiñ apnī zaat ke maidān-e-kār-zār meñ huuñ
meñ bhed kyā tujhe duuñ be-karāñ ḳhalāoñ ke
ki maiñ azal se isī halqa-e-madār meñ huuñ
talāsh kis kī hai mujh ko abhī ye kyā sochūñ
'bashīr' abhī to maiñ apne hī intizār meñ huuñ
Top Urdushayar.com