kaisī kaisī thiiñ unhī galiyoñ meñ zebā sūrateñ
yaad ik ik moḌ pe aatī haiñ kyā kyā sūrateñ
nīm-shab hote haiñ vā jis dam darīche yaad ke
kis adā se jhāñktī haiñ ab vo rā.anā sūrateñ
sūrateñ kuchh dekh kar aisā bhī aatā thā ḳhayāl
ḳhaak se aisī kahāñ hotī haiñ paidā sūrateñ
luuT kar pahle-pahal aa.e the jab us shahr se
ajnabī lagtī thiiñ āñkhoñ ko shanāsā sūrateñ
aaj tak vo dil kī dīvāroñ pe kanda haiñ 'bashīr'
phir nazar aa.eñ nahīñ jo māh-sīmā sūrateñ