Basheer Ahmad Basheer

ji nahin lagta kitabon mein kitaben kya karen

Basheer Ahmad Basheer

jī nahīñ lagtā kitāboñ meñ kitābeñ kyā kareñ
kyā paḌheñ paḌh kar bujhī be-nūr satreñ kyā kareñ
kuchh ajab hālat hai ai dil kuchh samajh aatā nahīñ
so raheñ ghar jā ke yā galiyoñ meñ ghūmeñ kyā kareñ
vāsta patthar se paḌ jaa.e jahāñ sochūñ vahāñ
kyā kareñ zor-e-bayāñ qalameñ davāteñ kyā kareñ
aisī yaḳh-basta havā meñ koñpleñ phūTeñgī kyaa?
bārishoñ kī aarzū be-barg shāḳheñ kyā kareñ
ho ga.ī daldal zamīñ dhañste hī rah jaate haiñ yaañ
kyā kareñ mohkam binā.eñ surḳh īñTeñ kyā kareñ
shaam Dhalte hī ye aalam hai to kyā jaane bashīr
haal apnā sub.h tak be-rabt nabzeñ kyā kareñ
Top Urdushayar.com