paa.ī hamesha ret bhañvar kāTne ke ba.ad
tishna-labī kā lambā safar kāTne ke ba.ad
kuchh aise kam-nazar bhī musāfir hameñ mile
jo saaya DhūñDte haiñ shajar kāTne ke ba.ad
fan kī hamāre aaj bhī shohrat hai har taraf
vo mutma.in thā dast-e-hunar kāTne ke ba.ad
utrī huī hai dhuup badan ke hisār meñ
qurbat ke fāsloñ kā safar kāTne ke ba.ad
sheva to zabt kā hai magar kyā karūñ 'zafar'
baḌhtī hai pyaas aur bhī sar kāTne ke ba.ad