zafar iqbal zafar

safar ka silsila aaKHir kahan tamam karun

zafar iqbal zafar

safar kā silsila āḳhir kahāñ tamām karūñ
kahāñ charāġh chalā.ūñ kahāñ qayām karūñ
sabhī ke sar pe hai rakkhī kulāh naḳhvat kī
qadoñ kī bhiiḌ meñ kis kis kā ehtirām karūñ
haiñ jitne mohre yahāñ saare piTne vaale haiñ
kise maiñ shah karūñ apnā kise ġhulām karūñ
ajiib shahr hai koī suḳhan-shanās nahīñ
matā-e-fikr maiñ mansūb kis ke naam karūñ
mirā shanāsā hai koī na ham-zabāñ hai koī
dayār-e-ġhair meñ phir kis se maiñ kalām karūñ
sajā.ūñ us ke liye ghar bichhā.ūñ palkeñ 'zafar'
vo aa rahā hai to kuchh maiñ bhī ehtimām karūñ
Top Urdushayar.com