rābta kyuuñ rakhūñ maiñ dariyā se
pyaas bujhtī hai merī sahrā se
hai masā.il se ab vahī uljhā
rishta joḌā hai jis ne duniyā se
ḳhushiyāñ imroz kī vo paatā hai
jo ki ġhāfil nahīñ hai fardā se
jis ko hāsil thiiñ ne.amateñ saarī
ab hai mahrūm āb-o-dāna se
hai ḳhudā kī nazar meñ aalī vahī
ḳhush-dilī se jo miltā adnā se
thī jise saaqī se 'zafar' nisbat
tishna lauTā vo bāda-ḳhāna se