zafar iqbal zafar

chamka jo tirgi mein ujala bikhar gaya

zafar iqbal zafar

chamkā jo tīrgī meñ ujālā bikhar gayā
nanhā sā ek jugnū baḌā kaam kar gayā
vo niiñd ke safar meñ to maḳhmūr thā bahut
āñkheñ khulīñ to ḳhvāb ke manzar se Dar gayā
aañsū the is qadar mirī chashm-e-malāl meñ
har gosha gosha shahr kā ashkoñ se bhar gayā
phailī huī hai chāñdnī ehsās meñ mire
ye kaun merī zaat ke andar utar gayā
har shaḳhs hī kamandeñ 'zafar' pheñkne lagā
ik pal ke vāste jo ḳhalā meñ Thahar gayā
Top Urdushayar.com