zafar iqbal zafar

ek ek pal tera nayab bhi ho sakta hai

zafar iqbal zafar

ek ik pal tirā nāyāb bhī ho saktā hai
hausla ho to zafar-yāb bhī ho saktā hai
biphrī maujoñ se ulajhne kā salīqa hai agar
ye samundar kabhī pāyāb bhī ho saktā hai
umr tapte hue sahrā meñ basar kī jis ne
to sarāboñ se vo sairāb bhī ho saktā hai
aap dariyā kī ravānī se na uljheñ hargiz
tah meñ us ke koī girdāb bhī ho saktā hai
laakh motī hī sahī vaqt kī gardish meñ kabhī
qīmtī kitnā ho be-āb bhī ho saktā hai
jis ko majbūr huā hai to khurachne pe 'zafar'
terī āñkhoñ kā hasīñ ḳhvāb bhī ho saktā hai
Top Urdushayar.com