vo nahīñ us kī magar jādūgarī maujūd hai
ik sahar-ālūd mujh meñ be-ḳhudī maujūd hai
saf-ba-saf dushman hī dushman haiñ mire chāroñ taraf
hausla dekho ki phir bhī zindagī maujūd hai
bujh ga.ī hai bastiyoñ kī aag ik muddat huī
zehn meñ lekin abhī tak sho.alagī maujūd hai
bād-e-sarsar chal rahī hai aur us ke bāvajūd
phir bhī sham.oñ meñ abhī tak raushnī maujūd hai
hai ajab e.ajāz ye us kī mohabbat kā 'zafar'
jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb-e-zindagī maujūd hai