har aadmī kahāñ auj-e-kamāl tak pahuñchā
uruuj had se baḌhā to zavāl tak pahuñchā
ḳhud apne aap meñ jhuñjhlā ke rah gayā āḳhir
mirā javāb jab us ke savāl tak pahuñchā
ġhubār-e-kizb se dhuñdlā rahā hamesha jo
vo aa.ina mire kab ḳhadd-o-ḳhāl tak pahuñchā
chalo na sar ko uThā kar ġhurūr se apnā
girā hai jo bhī bulandī se Dhaal tak pahuñchā
jise bharosā nahīñ thā uḌaan par apnī
vahī parinda shikārī ke jaal tak pahuñchā
tavāf karte rahe sab hī rāste meñ magar
har ek shaḳhs hī gard-e-malāl tak pahuñchā
mirī najāt kā hogā 'zafar' vasīla vahī
jo lafz na.at kā mere ḳhayāl tak pahuñchā