zafar iqbal zafar

labon par pyas sab ke be-karan hai

zafar iqbal zafar

laboñ par pyaas sab ke be-karāñ hai
har ik jānib magar andhā kuaañ hai
hai koī aks-e-rañgīñ aa.ine par
jabhī to aa.ine meñ kahkashāñ hai
kisī se koī bhī miltā nahīñ ab
har ik insāñ yahāñ to bad-gumāñ hai
firāq-o-vasl kā qissa nahīñ hai
adhūrī kis qadar ye dāstāñ hai
nahīñ kuchh bolte haiñ jabr sah kar
lage tarshī huī sab kī zabāñ hai
vatan meñ rah ke bhī hai be-vatan ye
bahut mazlūm ye urdu zabāñ hai
kisī kā dard bāñTe ġham meñ ro.e
'zafar' ehsās logoñ meñ kahāñ hai
Top Urdushayar.com