Javed Shaheen

ajnabi bud-o-bash ke qurb-o-jawar mein mila

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
ajnabī būd-o-bāsh ke qurb-o-javār meñ milā
bichhḌā to vo mujhe kisī aur dayār meñ milā
mere liye vo kam-numā hairat-e-gul banā rahā
aañkh ke vast meñ sadā ek ġhubār meñ milā
baaġh thā jis tarah sajā us meñ kisī kā haath thā
jaisā bhī koī phuul thā ek qatār meñ milā
yā to vo ek ḳhvāb thā TuuT ke juḌtā hī rahā
yā phir ḳhalal nigāh kā aañkh ke taar meñ milā
arsa vo mere ishq kā niklā koī fareb sā
maiñ thā kahāñ vo ḳhud-numā ḳhud hī se pyaar meñ milā
itnī zyāda bhiiḌ thī baat na us se ho sakī
pal bhar vo tez vaqt kī rāhguzār meñ milā
barf thī kab thī vo havā ghar se yūñhī nikal paḌā
jism ke kaTne kā maza jaaḌe kī dhaar meñ milā
shahr vo thā ajiib sā jo bhī vahāñ pe shaḳhs thā
band bahut burī tarah ek hisār meñ milā
ye mire maah ye baras merī hayāt-e-yak-nafas
merā jahān-e-ḳhār-o-ḳhas mujh ko udhār meñ milā
phuul kuchh is tarah khilā dil bhī zarā sā kaT gayā
thoḌā sā rañg ḳhuun kā rañg-e-bahār meñ milā
shaam hī se mah-e-tamām chaḌhne lagā falak kā baam
āḳhir-e-shab ye narm-gām ek utaar meñ milā
shāhīñ' guloñ kā qāfila jis meñ sharīk vo bhī thā
ek jagah rukā huā vādi-e-ḳhār meñ milā
Top Urdushayar.com