sar-burīda huā muqābil hai
sab kī āñkhoñ meñ ḳhauf shāmil hai
thā muhāfiz kabhī yahī insāñ
aaj insāniyat kā qātil hai
bastiyāñ phūñknā jalānā ghar
kyā yahī aadmī kā hāmil hai
vaqt kab us kā saath detā hai
roz fardā se jo ki ġhāfil hai
jis ne baḳhshā thā zindagī ko faroġh
ab vo dahshat-garoñ meñ shāmil hai