kis tarah be-mauj aur ḳhālī ravānī se huā
be-ḳhabar dariyā kahāñ par apne paanī se huā
baḌh rahī thī ek bastī se mirī begānagī
mas.ala merā na hal naql-e-makānī se huā
apne hone kā mujhe ḳhud hī diyā us ne subūt
āshnā us se usī kī ik nishānī se huā
kah rahā thā vo ki kaise kaT rahe the us ke din
maiñ girafta-dil bahut us kī kahānī se huā
ik jagah kī saaf aur taaza havā achchhī lagī
kuchh ilāj-e-dil vahāñ ke saada paanī se huā
kis qadar ġham-ḳhvār thā vo shahr aur hamdard log
is kā kuchh andāza apnī rā.egānī se huā
rut badal jaane se piilā paḌ gayā farsh-e-chaman
zard peḌoñ kā badan barg-e-ḳhizānī se huā
kar rahā huuñ maiñ zabāñ ko ik banāvaT se rihā
lafz zinda phir mirī sāda-bayānī se huā
mere us ke darmiyāñ jaise kabhī kuchh bhī na thā
aisā 'shāhīñ' bas zarā sī bad-gumānī se huā