nayā ḳhayāl kabhī yuuñ dimāġh meñ aayā
ki shola chaltā huā ḳhud charāġh meñ aayā
badan pe us ke thī shoḳhī bharī qabā-e-bahār
vo ek baaġh ke ham-rāh baaġh meñ aayā
pareshāñ tañgi-e-jā se hai garche duud bahut
ye kam hai daaġh kā sarmāya daaġh meñ aayā
kisī ne Daal diyā shak kisī ga.e kal par
maiñ muḌ ke haal se us ke surāġh meñ aayā
maiñ sochtā thā use kyā bhulā bhī pā.ūñgā
magar ye kaam baḌe hī farāġh meñ aayā
vufūr-e-garmi-e-andesha ne ḳharāb kiyā
ki baal tundi-e-mai se ayāġh meñ aayā
akelā ghūmtā phirtā rahā maiñ dariyā par
vahāñ se shaam Dhale ek baaġh meñ aayā
qarīb-e-āḳhir-e-shab ḳhatm ho ga.ī mahfil
aur is ke saath dhuāñ bhī charāġh meñ aayā
vo mere saath thā jab tak to Thiik thā 'shāhīñ'
futūr baad meñ us ke dimāġh meñ aayā