Shafiullah Raz

paniyon se ret par jo aa gaya meri tarah

Shafiullah Raz

pāniyoñ se ret par jo aa gayā merī tarah
zindagī kī dhuup meñ jaltā rahā merī tarah
us ke hoñToñ se bhī amrit kī mahak aane lagī
ġhāliban zahr-e-halāhal pī liyā merī tarah
aap ko vo apnī rahmat se navāzegā zarūr
sidq-e-dil se māñgiye bhī to duā merī tarah
koī parde se nikal kar sāmne aa jā.egā
shart lekin ye hai tum bhī dekhnā merī tarah
sāhiloñ kī qaid se āzād ho saktā hai tū
apne dariyā meñ koī tūfāñ uThā merī tarah
kufr-o-bātil kī safoñ ko chiir kar bāhar nikal
naam apnā haq parastoñ meñ likhā merī tarah
anjuman-dar-anjuman tafrīq-e-ḳhās-o-ām hai
hai koī jo raaz kah de barmalā merī tarah
Top Urdushayar.com