Shafiullah Raz

dushmani larzan hai yaro dosti ke samne

Shafiullah Raz

dushmanī larzāñ hai yaaro dostī ke sāmne
tīrgī tharrā rahī hai raushnī ke sāmne
qāfile vāloñ se ye manzar na dekhā jā.egā
rāhbar haiñ sar ba-sajda gumrahī ke sāmne
ruuh to tārīkiyoñ meñ ġharq ho kar rah ga.ī
jism albatta hai apnā raushnī ke sāmne
ik nazar bas aap mere sāmne aa jā.iye
umr bhar baiThā rahūñgā aap hī ke sāmne
tere dāman meñ mahakte haiñ hazāroñ gulsitāñ
aur terā haath phailā hai kalī ke sāmne
zindagī meñ bārhā aise bhī lamhe aa.e haiñ
guftugū sharmā ga.ī hai ḳhāmushī ke sāmne
jo añdhere meñ mazālim toḌte rahte haiñ 'rāz'
aa nahīñ sakte vo zālim raushnī ke sāmne
Top Urdushayar.com