ham na jā.eñge rahnumā ke qarīb
luuT legā hameñ bulā ke qarīb
ābdīda hai ishrat-e-duniyā
kis qadar ġham haiñ be-navā ke qarīb
ik parinda lapak ke pahuñchā thā
phir bhī pyāsā rahā ghaTā ke qarīb
zarf-e-dil aazmā rahī hai sharāb
jaam rakkhe haiñ pārsā ke qarīb
chashm-e-pur-nam vo aaj uTThe haiñ
kal jo baiThe the muskurā ke qarīb
un se pūchhā ki zindagī kyā hai
ik diyā rakh diyā bujhā ke qarīb
fāsle raaz darmiyāñ haiñ magar
aadmī phir bhī hai ḳhudā ke qarīb