agar kuchh e'tibār-e-jism-o-jāñ ho
abhī kuchh aur merā imtihāñ ho
mujhe darpesh hai bas ek manzil
ki tujh se baat ho lekin kahāñ ho
jise mauj-e-balā chūme musalsal
mirī kashtī kā aisā bādbāñ ho
kahāñ tak sūrat-e-imkāñ nikālūñ
agar har baar mehnat rā.egāñ ho
mire ḳhvāboñ kī vo be-nām jannat
zamīn-o-āsmāñ ke darmiyāñ ho
mire ehsās ke ātish-fishāñ kā
agar ho to mire dil tak dhuāñ ho
agar 'āġhāz' hai chup-chāp sāhil
samundar kī tarah tum be-karāñ ho