ghar se nikalnā jab mirī taqdīr ho gayā
ik shaḳhs mere paañv kī zanjīr ho gayā
ik harf mere naam se dīvār-e-shahr par
ye kyā huā ki raat meñ tahrīr ho gayā
maiñ us ko dekhtā hī rahā us meñ Duub kar
vo thā ki mere sāmne tasvīr ho gayā
vo ḳhvāb jis pe tīra-shabī kā gumān thā
vo ḳhvāb āftāb kī ta.abīr ho gayā
maiñ to zabāñ pe laayā nahīñ terā naam bhī
kyuuñ ishq merā bā.is-e-tash.hīr ho gayā
'āġhāz' us ne jo bhī kahā mere vāste
vo kyuuñ mire kalām kī tafsīr ho gayā