saḌkoñ pe bahut ḳhalq-e-ḳhudā dekhte rahnā
kyā chiiz hai jiine kī sazā dekhte rahnā
bah jaanā ḳhamoshī se kahīñ dard kā paanī
aur dil ko sadā ḳhushk paḌā dekhte rahnā
milne ke liye jaanā use shauq se lekin
is ruḳh pe uḌā rañg-e-vafā dekhte rahnā
le jaanā use bazm-e-nigārāñ meñ vahāñ phir
kab aa.e nazar sab se judā dekhte rahnā
mumkin hai ki mil jaa.e kabhī koī ishārā
mausam kī ye be-mehr adā dekhte rahnā
kamre meñ paḌe rahnā ghuTan oḌh ke 'shāhīn'
dīvāroñ pe tasvīr-e-havā dekhte rahnā