Mohammad Zakariyya Khan

asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae

Mohammad Zakariyya Khan

1839-1903
asīrī meñ tabāhī raunaq-e-kāshāna ho jaa.e
qafas hī nāloñ se jal kar charāġh-e-ḳhāna ho jaa.e
taġhāful sāzgār-e-shauq-e-ahl-e-dard kyā hogā
adā se do fareb aisā ki dil dīvāna ho jaa.e
na kahnā ġhair se qāsid ki maiñ matlab nahīñ samjhā
payām-e-yār hai hai ma.anī-e-begāna ho jaa.e
nahīñ kyuuñ hazrat-e-mūsā kī betābī ke ham-pairav
ki rāz-e-dil zabāñ par aa.e aur afsāna ho jaa.e
kahāñ tak zabt-e-be-tābī dil-e-miskīñ mujhe Dar hai
tirī ḳhū-e-tahammul se vo be-parvā na ho jaa.e
fuġhāñ karte hue jā pahuñcho us kī bazm-e-ishrat meñ
kabhī to ai 'zakī' ye shoḳhī-e-rindāna ho jaa.e
Top Urdushayar.com