Kanti Mohan Soz

a zist hamein tang na kar is se ziyaada

Kanti Mohan Soz

a ziist hameñ tañg na kar is se ziyāda
itnā to sahā ham ne magar is se ziyāda
ham ḳhud bhī kamar bāñdh ke tayyār haiñ qāsid
kyā hogī tire paas ḳhabar is se ziyāda
ye dil kī duā hai ise kuchh kam na samajhiye
hogā abhī kuchh aur asar is se ziyāda
ye soch ke kal raat hameñ niiñd na aa.ī
kal hogī girāñ aur sahar is se ziyāda
mumkin hai ye hañgāma abhī bas na samajh 'soz'
karnī ho tujhe umr basar is se ziyāda
Top Urdushayar.com