ye kis ne Daal kāñToñ kī qarīb-e-āshiyāñ rakh dī
kahāñ kī chiiz thī nādān ne dekho kahāñ rakh dī
ab is dīvāngī par kyuuñ na vaare jaa.eñ ham yaaro
ki jis ne ḳhaar ke muñh meñ shagūfe kī zabāñ rakh dī
zamāne kī nazar meñ ḳhār-o-ḳhas the chaar tinke the
unhīñ par dil ke kārī-gar ne buniyād-e-jahāñ rakh dī
ham apnī be-ḳhudī meñ ghar kā naqsha bhuul baiThe haiñ
kahāñ hai tāq-e-nisyāñ jis pe tashvīsh-e-ziyāñ rakh dī
hamāre ishq ke charche zamāne bhar meñ hote the
ye kis ne dushmanī āḳhir hamāre darmiyāñ rakh dī
karam kaafī thā tere 'soz' ke barbād karne ko
sitam ke haath meñ talvār kyuuñ a jān-e-jāñ rakh dī