Javed Shaheen

mere besh-o-kam ke pichhe tera hath hai ziyaada

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
mire besh-o-kam ke pīchhe tirā haath hai ziyāda
mirā din banāne vaale mirī raat hai ziyāda
yahāñ ek had se aage kisī zo.am meñ na rahnā
tujhe chhoḌ jaane vaalā tire saath hai ziyāda
jo sirhāne rakkhe rakkhe shab-e-ġham meñ so gayā hai
mirā kaam karne vaalā vahī haath hai ziyāda
vo jo asl vāqi.a hai use khol kar bayāñ kar
tū jo kah rahā hai us se zarā baat hai ziyāda
mirī aas ke ufuq se mujhe lag rahī hai chhoTī
kisī dūsrī taraf se yahī raat hai ziyāda
huī mujh se ik ḳhayānat kahīñ kuchh sameTne meñ
mire aage ik jagah par mirī zaat hai ziyāda
hai shikast o fat.h 'shāhīñ' yahāñ zindagī kā hissa
mujhe dukh bahut hai jis kā koī maat hai ziyāda
Top Urdushayar.com