Kanti Mohan Soz

ye nashist-e-gham hai isko koi rit to nibhao

Kanti Mohan Soz

ye nashist-e-ġham hai is kī koī riit to nibhāo
maiñ ġhazal sunā rahā huuñ mujhe chhoḌ kar na jaao
shab-e-tār kā fasāna kabhī muḳhtasar bhī hogā
koī sham.a to jalāo koī jaam to uThāo
ye ġhurūr-e-teġh-e-qātil kabhī sar-nigūñ bhī hogā
sar-e-bazm choT khā kar sar-e-rāh muskurāo
tumheñ sar-buland pā kar chalī jaa.e sar jhukā kar
kabhī marg-e-nā-gahāñ se zarā yuuñ bhī pesh aao
zarā dekho gardanoñ par sar-e-shām jhuk chale haiñ
ye kañval haiñ kitne pyāre inheñ daar par sajāo
use khīñch lo palañg se vo jo so ke thak gayā hai
ye jo thak ke so gayā hai use pyaar se jagāo
rahā sar hamesha taane sahe hañs ke tāziyāne
vo gurez-pā huā kyuuñ koī 'soz' ko manāo
Top Urdushayar.com