aañkh kholī hai to ye dekh ke pachhtā.e haiñ
log ġhazloñ se bahut duur nikal aa.e haiñ
vo jo dukh sahte the uf tak bhī nahīñ karte the
aaj saf bāñdh ke maidāñ meñ utar aa.e haiñ
ḳhuun hī ḳhuun nazar aatā hai tā-hadd-e-nazar
kis ke naqsh-e-kaf-e-pā arsh pe lahrā.e haiñ
aaj ye soch ke larzāñ hai jafā-jū kā ġhurūr
qumqume kis liye dhartī pe utar aa.e haiñ
kāmrāñ hone kā ushshāq ko dete haiñ payām
ye ḳhat-o-ḳhāl jo kohre se ubhar aa.e haiñ
kal talak shaiḳh gurezāñ bhī the bezār bhī the
aaj kuchh baat hai jo 'soz' ke ghar aa.e haiñ