mai piite haiñ din raat piyā jaa.e hai kuchh aur
sunte haiñ ki aise meñ kiyā jaa.e hai kuchh aur
gar ḳhauf nahīñ hai to koī zabt hai yaaro
dil kahtā hai kuchh aur kahā jaa.e hai kuchh aur
asbāb mirā dekh ke hañsne lage ahbāb
kyā vaqt-e-safar saath liyā jaa.e hai kuchh aur
manzil hai bahut paas bahut paas bahut paas
ab dekhiye kis kis se chalā jaa.e hai kuchh aur
kaise kaheñ ab lutf se baaz aa.iye sāhab
har baar kā ehsān hilā jaa.e hai kuchh aur
vāzeh nahīñ hai us pe abhī harf-e-mukarrar
kuchh aur miTātā hai miTā jaa.e hai kuchh aur
kuchh duur se dekho to zamīñ rashk-e-jināñ hai
phir paas se dekho to nazar aa.e hai kuchh aur