gila kis se kareñ aġhyār-e-dil-āzār kitne haiñ
hameñ mālūm hai ahbāb bhī ġham-ḳhvār kitne haiñ
sakat baaqī nahīñ hai qum be-iznillāh kahne kī
masīhā bhī hamāre daur ke bīmār kitne haiñ
ye socho kaisī rāhoñ se guzar kar maiñ yahāñ pahuñchā
ye mat dekho mire dāman meñ uljhe ḳhaar kitne haiñ
jo sote haiñ nahīñ kuchh zikr un kā vo to sote haiñ
magar jo jāgte haiñ un meñ bhī bedār kitne haiñ
bahut haiñ mudda.ī sach kī taraf-dārī ke ai 'zāhid'
magar jo jhuuT se haiñ bar-sar-e-paikār kitne haiñ