har ehtimām hai do din kī zindagī ke liye
sukūn-e-qalb nahīñ phir bhī aadmī ke liye
tamām umr ḳhushī kī talāsh meñ guzrī
tamām umr taraste rahe ḳhushī ke liye
na khā fareb vafā kā ye bevafā duniyā
kabhī kisī ke liye hai kabhī kisī ke liye
ye daur-e-shams-o-qamar ye faroġh-e-ilm-o-hunar
zamīn phir bhī tarastī hai raushnī ke liye
kabhī uThe the jo ḳhurshīd-e-zindagī ban kar
taras rahe haiñ vo tāroñ kī raushnī ke liye
sitam-tarāzi-e-daur-e-ḳhirad ḳhudā kī panāh
ki aadmī hī musībat hai aadmī ke liye
rah-e-hayāt kī tārīkiyoñ meñ ai 'zāhid'
charāġh-e-dil hai mire paas raushnī ke liye