Abul Mujahid Zahid

qafas se chhuTne pe shad the hum ki lazzat-e-zindagi milegi

Abul Mujahid Zahid

Lakhimpur Kheri, Uttar pradesh, India

1928-2009
qafas se chhuTne pe shaad the ham ki lazzat-e-zindagī milegī
ye kyā ḳhabar thī bahār-e-gulshan lahū meñ Duubī huī milegī
jin ahl-e-himmat ke rāstoñ meñ bichhā.e jaate haiñ aaj kāñTe
unhī ke ḳhūn-e-jigar se rañgīñ chaman kī har ik kalī milegī
vo din bhī the jab añdherī rātoñ meñ bhī qadam rāh-e-rāst par the
aur aaj jab raushnī milī hai to ziist bhaTkī huī milegī
na.ī sahar ke hasīn sūraj tujhe ġharīboñ se vāsta kyā
jahāñ ujālā hai sīm-o-zar kā vahīñ tirī raushnī milegī
kabhī to nasl-o-vatan-parastī kī tīrgī ko shikast hogī
kabhī to shām-e-alam miTegī kabhī to sub.h-e-ḳhushī milegī
vo ham nahīñ haiñ ki sirf apne hī ghar meñ sham.eñ jalā ke baiTheñ
vahāñ vahāñ raushnī kareñge jahāñ jahāñ tīrgī milegī
talāsh-e-manzil kā azm-e-mohkam dalīl-e-manzil-rasī hai 'zāhid'
qadam to apne baḌhāo aage khulī huī raah bhī milegī
Top Urdushayar.com