Javed Shaheen

kashakash-e-gham-e-hasti mein koi kya sunta

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
kashākash-e-ġham-e-hastī meñ koī kyā suntā
hamīñ tak aa na sakī dil ke TūTne kī sadā
har ek phuul ke chehre pe gard jamne lagī
kahīñ se aaj ai abr-e-bahār jhuum ke aa
chale the jis ke bharose pe rah-ravān-e-bahār
vo māhtāb sar-e-dasht pichhlī shab niklā
kahīñ sadā-e-jaras hai na gard-e-rāh-e-safar
Thahar gayā hai kahāñ qāfila tamannā kā
hujūm-e-lāla-o-gul rāste se haT jaa.e
talāsh-e-ḳhār meñ niklā hai koī ābla-pā
guzar ke aayā huuñ un saḳht manziloñ se jahāñ
tumhārī yaad kā saaya bhī ās-pās na thā
kahīñ se koī pukāre ki aaj phir 'shāhīn'
diloñ ko Dasne lagā hai diloñ kā sannāTā
Top Urdushayar.com