Abul Mujahid Zahid

tajdid-e-riwayat-e-kuhan karte rahenge

Abul Mujahid Zahid

Lakhimpur Kheri, Uttar pradesh, India

1928-2009
tajdīd-e-rivāyāt-e-kuhan karte raheñge
sar mārka-e-dār-o-rasan karte raheñge
vo daur-e-ḳhizāñ ho ki bahāroñ kā zamāna
ham yaad tujhe jān-e-chaman karte raheñge
rañgīn tire zikr se ham sher o suḳhan ko
ai jān-e-suḳhan markaz-e-fan karte raheñge
is ābla-pā.ī pe bhī ham terī talab meñ
tai jāda-e-ālām-o-mehan karte raheñge
duniyā hameñ dīvāna samajhtī hai to samjhe
ham aam ġham-e-dil kā chalan karte raheñge
jalte haiñ jise sun ke andhere ke parastār
ham aam vahī tarz-e-suḳhan karte raheñge
gulshan meñ na ham hoñge to phir sog hamārā
gul-pairahan o ġhuncha-dahan karte raheñge
'zāhid' be-tāqāzā-e-vafā tarah-e-yaqīn par
ham koshish-e-tāmīr-e-vatan karte raheñge
Top Urdushayar.com