Shadab Ulfat

aadatan mayus ab to sham hai

Shadab Ulfat

ādatan māyūs ab to shaam hai
hijr to bas muft hī badnām hai
aaj phir dhuñdlā gayā merā ḳhayāl
aaj phir alfāz meñ kohrām hai
alganī par Taañg kar din kā libās
raat ko ab chain hai ārām hai
naqs ta.abīroñ meñ kyuuñ karnā rahe
ḳhvāb hī jab ke hamārā ḳhaam hai
muḳhtalif shakleñ banānā vaqt kā
bas yahī to gardish-e-ayyām hai
is firāq-e-nā-tavāñ meñ aaj phir
ye ġhazal bhī lo tumhāre naam hai
barf ke dariyā kināre āftāb
yā vahāñ ma.ashūq lāla-fām hai
falsafa koī zarūrī to nahīñ
masḳharī bhī shā.irī meñ aam hai
yaar batlā do mujhe us kā pata
mujh ko 'ulfat' se zarā sā kaam hai
Top Urdushayar.com