phir usī but se mohabbat chup raho
aur phir us par shikāyat chup raho
chashm-e-pur-nam tham ke ab merī suno
ishq meñ ye kaisī ujlat chup raho
koī hasrat gar bikhar jaa.e bhī to
jaan kar yārab kī hikmat chup raho
tabsire hoñ hijr par yā vasl par
ab kahāñ ham ko hai fursat chup raho
ḳhutba-e-āḳhir meñ sab samjhā diyā
kar dī qaa.em ham ne ulfat chup raho
sab bayāñ tum kar chuke ab raah lo
sab jo chup haiñ tum bhī 'ulfat' chup raho