saje haiñ har taraf bāzār aisā kyuuñ nahīñ hotā
bike ab to ġham-e-lāchār aisā kyuuñ nahīñ hotā
tumhāre aur mere darmiyāñ parda hai ġhaflat kā
gire kambaḳht ye dīvār aisā kyuuñ nahīñ hotā
abhī yuuñ hī ḳhayāl aayā agar vo zulm kartā hai
to pahuñche kaifar-e-kirdār aisā kyuuñ nahīñ hotā
farishta hī chalā aa.e agar insāñ nahīñ aatā
mirā dil hai bayābāñ ġhaar aisā kyuuñ nahīñ hotā
kisī kī yaad kī ThanDī havā.eñ aaj bhī haiñ par
kareñ dil ko gul-o-gulzār aisā kyuuñ nahīñ hotā
ġhazal kā sher un par bhī asar-andāz hotā hai
miyāñ 'ulfat' magar har baar aisā kyuuñ nahīñ hotā