jaan jokhim se kiye sar jo marāhil tū ne
do-qadam duur thī kyuuñ chhoḌ dī manzil tū ne
dekh kambaḳht mirī jaan pe ban aa.ī hai
zindagī kar diye pechīda masā.il tū ne
ye samundar to hai kam-zarf chhalak jaatā hai
kyā mujhe maan liyā us ke muqābil tū ne
terī fitrat jo darindoñ sī nazar aatī hai
kaun sā rañg kiyā ḳhuun meñ shāmil tū ne
phañs chukā hai tū usī jaal meñ ḳhud hī ab to
jo bichhāyā thā mujhe dekh ke ġhāfil tū ne