Bimal Krishn Ashk

jo dil mein usko basae wo aur kuchh na kare

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
jo dil meñ us ko basā.e vo aur kuchh na kare
vo ruup hai ki use dekhiye to jī na kare
jo dard dil meñ uThe aah khīñchne se Dare
vo aa.ina hai ki mauj-e-havā shikast kare
khileñgī raah meñ is raat barf kī kaliyāñ
gharoñ meñ ghūmte phirte haiñ bādaloñ ke pare
havā udhar kī chalī bhī to dard mar na gayā
yahī huā hai ki kuchh zaḳhm ho chale haiñ mire
ye jañgalī ye kaTīlī ye bāvarī āñhkeñ
ki jin se aañkh milāte hue hiran bhī Dare
ḳhamosh ho bhī to kaise vo boltā huā jism
jo hoñT hoñT se chupke to aañkh baat kare
vafā bane na agar 'ashk' raah kā patthar
hazār jism bhare shahr meñ bane sañvre
Top Urdushayar.com