dukhtī hai ruuh paañv ko lāchār dekh kar
ruk jā.eñge kahīñ koī dīvār dekh kar
subkī na ho kahīñ taraf-e-yār dekh kar
āñkheñ uThā.iye bhī to dastār dekh kar
niklo jo ban-sañvar ke to bāzār dekh kar
māñgeñ haiñ mol shakl-e-ḳharīdār dekh kar
kahnā to bas yahī hai ki chāheñ haiñ ham tujhe
ghabrā.iyo na baat kā bistār dekh kar
sustā.e hai irāda tasāhul ke rū-ba-rū
dukhte haiñ paañv sāya-e-dīvār dekh kar
apnoñ se muñh chhupā.e phire hai ik aadmī
jebeñ TaTol ke kabhī bāzār dekh kar
mārūñ huuñ hāth-pāoñ bahut 'ashk' ḳhud ko maiñ
apne hī bāzuoñ meñ giraftār dekh kar