rone vāloñ ne tire ġham ko sarāhā hī nahīñ
raat ḳhush rah ke bhī kaT saktī hai sochā hī nahīñ
na kahīñ abr kā ghūñghaT na havā kī pāzeb
din ka.ī din se tire rañg meñ dekhā hī nahīñ
tū bhī in ujḌe dayāroñ meñ hai merī mānind
aisā lagtā hai ki tū ne mujhe dekhā hī nahīñ
tujh se shikva bhī agar ho to koī baat bhī ho
aa.ina chhoḌ ke mujh ko koī samjhā hī nahīñ
ik ye patthar hai ki Thokar se bahut duur gayā
ek ye dil hai ki siine se nikaltā hī nahīñ
yuuñ to is raah meñ lahke ka.ī āñchal lekin
dil pe vo rañg chaḌhā hai ki utartā hī nahīñ
baiTh rahiye bhī to kyā rah-guzār-e-shab meñ
ab ye rasta tirī āñkhoñ se guzartā hī nahīñ