kaise kaheñ ki chaar taraf dā.era na thā
jaate kahāñ ki ḳhud se pare rāstā na thā
jab saañs le rahī thī daraḳhtoñ ke ās-pās
āvāz de rahī thī koī boltā na thā
ḳhud se chale to rah-guzar ā.īna ho ga.ī
apne sivā.e aur koī sūjhtā na thā
ab ke basant aa.ī to āñkheñ ujaḌ ga.iiñ
sarsoñ ke khet meñ koī patta harā na thā
parda hilā ke bād-e-sahar duur tak ga.ī
ḳhushbū kidhar se aa.ī kisī ko patā na thā
guzrī tamām umr usī shahr meñ jahāñ
vāqif sabhī the go koī pahchāntā na thā
ai 'ashk' ik kitāb paḌhī thī varaq varaq
vo tīrgī thī lafz koī sūjhtā na thā