Bimal Krishn Ashk

mujhe masumiyat se dekhta hai

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
mujhe ma.asūmiyat se dekhtā hai
vo dhokā khaa.e hai yā de rahā hai
maiñ kitnā ajnabī huuñ apnī ḳhātir
mujhe har aadmī pahchāntā hai
ajab hai terī yak-rañgī ki pyāre
jahāñ tak dekhtā huuñ aa.ina hai
hamārī bhuuk se bhūkī hai duniyā
hamārī pyaas se sahrā banā hai
nikal bhī lo ki is bastī meñ aksar
darīchoñ se samundar jhāñktā hai
vo apne haath par mehñdī rachā kar
muqaddar kī lakīreñ DhūñDhtā hai
tire hoñToñ kī nam golā.iyoñ meñ
na jaane kis ke dukh kā zā.iqa hai
kahīñ 'pāshī' kahīñ 'alvī' kahīñ 'ashk'
bas ik dukh hai magar ka.ī tarah kā hai
Top Urdushayar.com