Bimal Krishn Ashk

patjhaD ka mausam tha lekin shaKH pe tanha phul khila tha

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
patjhaḌ kā mausam thā lekin shāḳh pe tanhā phuul khilā thā
jis ko ham patthar samjhe the chashme jaisā phuuT bahā thā
ab to āñkheñ paap bharī haiñ ek samay yaaro aisā thā
agle ghar kī chhat ke pīchhe chāñd bahut pyārā lagtā thā
nañg-dhaḌañg ik nanhā-munnā pīchhe pīchhe dauḌ rahā thā
aage uḌne vaale vaqt ne pal-bhar ko muḌ kar dekhā thā
phūloñ vaale tarkash ke ik tiir ne merī āñkheñ le liiñ
aur jis ne chilla khīñchā thā vo bhī ik andhā laḌkā thā
ghar se niklo dhuup meñ baiTho dekho us pīpal kā saaya
jis ke nīche tum aisā ik bholā bachcha khel rahā thā
jo pāgal aurat parsoñ tak ik guḌiyā nochā kartī thī
kal us kī jhilmil chunarī meñ ek maTiyālā guDDā sā thā
yuuñ to harī-bharī rāhoñ meñ roz nayā melā lagtā hai
jab maiñ ghar se niklā yā to maiñ thā yā mirā saayā thā
maiñ samjhā thā mere sar aur zaḳhm kī nisbat pur-ma.anī hai
aur koī thā jis kī ḳhātir bachchoñ ne patthar pheñkā thā
ashk' ik muddat tak gum-sum se peḌ ne rim-jhim barkhā jhelī
aag lagī to chiñgārī ke chāroñ or dhuāñ phailā thā
Top Urdushayar.com