har qadam champa.ī phūloñ ke khilāne vaale
gum na ho jaa.eñ tirī raah meñ jaane vaale
phir baḌe zor se darvāza koī band huā
phir kahā dil ne abhī ā.eñge aane vaale
umr-bhar DhūñDte-phirte rahe apnī āvāz
terī āvāz meñ āvāz milāne vaale
chāñd Thahrā sā havā band sī patte chup se
so rahe jā ke kahīñ pyaar jagāne vaale
aur agar maiñ ne tujhe dekhnā chāhā hī na ho
muñh udhar pher ke ai aañkh churāne vaale
kyā koī mere sivā mil na sakā merā harīf
merī gardan meñ mire haath pahnāne vaale
vo bhī majbūr hai ai ashk' sune kis kis kī
ek sunñe ko to lākhoñ hī sunāne vaale