talḳhī-e-zahr abhī shāmil-e-jāñ rahne de
mujh pe jo guzrī hai kuchh us kā nishāñ rahne de
ye bujhe jaam ye roī huī sham.eñ na haTā
chand ghaḌiyāñ ḳhalish-e-aish-e-garāñ rahne de
dekh ujḌe hue manzar abhī dil-soz nahīñ
aur kuchh roz yūñhī rañg-e-ḳhizāñ rahne de
kuchh to raushan hoñ mire jism kī tārīk rageñ
mauja-e-ḳhūñ pe koī sham-e-ravāñ rahne de
vo tire dard kī gahrā.ī kahīñ dekh na le
nauha-e-zaḳhm ko mahrūm-e-zabāñ rahne de
chand gumnām sī yādoñ kī mahak hai dil meñ
is ḳharābe meñ ye gul-hā-e-ḳhizāñ rahne de