charāġh jalne lageñ aur dil machalne lage
udhar ho raat udhar koī jī ko malne lage
udaas os kī būñdoñ se bujhne-jalne lage
tum aa raho to sitāroñ kī lau sambhalne lage
ye devdār kī Tahnī pe tham gayā sā chāñd
havā chale to abhī karvaTeñ badalne lage
tamām-rāt dhuāñ sā uchhāltī rahī raat
rukī to ThiThure hue hāth-pāoñ jalne lage
ab in harī-bharī saḌkoñ kā jaane kyā hogā
thī jin se raah vahī rāsta badalne lage
jo bādaloñ meñ tirī maañg sī lakīroñ par
nazar ga.ī to diloñ meñ charāġh jalne lage
ruko to dard sā Thahrā sujhā.ī de dil meñ
chalo to 'ashk' kasak saath saath chalne lage