Bimal Krishn Ashk

itna achchha na agar hota to hum sa hota

Bimal Krishn Ashk

1924-1982
itnā achchhā na agar hotā to ham sā hotā
ham ne dekhā hī na hotā tujhe chāhā hotā
tū mire paas bhī hotā to bhalā kyā hotā
merā ho kar bhī agar aur kisī kā hotā
ab to kuchh kuchh ye sabhī sab hī meñ mil jaate haiñ
koī to hotā ki maiñ hotā to achchhā hotā
nanhe bachchoñ kī tarah sote haiñ hañsne vaalo
tum ne aaise meñ agar aap ko dekhā hotā
ab to jo kuchh huuñ yahī kuchh huuñ burā huuñ ki bhalā
aisā kyā kahiye ki yuuñ hotā to kaisā hotā
jab daraḳhtoñ meñ havā loriyāñ gaatī guzrī
tum ne aaise meñ kisī aur ko dekhā hotā
ye añdherā ki rañge jaatā hai Tahnī Tahnī
tere chehre kī jhalak dekh ke utrā hotā
ek duniyā ne tujhe dekhā hai lekin maiñ ne
jaise dekhā hai tujhe vaise na dekhā hotā
chāñd yuuñ shāḳhoñ meñ uljhā hī na rahtā kal raat
'ashk' vo shaḳhs agar paas hī baiThā hotā
Top Urdushayar.com